mausam ki wirasat

khet pyase hain
faza hanpti hai

ja-ba-ja ukhdi jaden chatti ek gae
ke sukhe hue matiyale khuron ki manind

phat gai hai jo zamin
us mein ugi jhadiyan

be-barg-o-samar rahti hain
mausam ho koi

kisi falij-zada bimar ke akde hue panje ki tarah
tahniyan soe falak dekhti fariyaad-kunan hain kab se

mahz fariyaad se ai dost magar kya hoga
jodta rahta hai mausam ki wirasat se dilon ko

jo kisi mez-numa shai ye kai din se pada
chae-khane ka phata sa akhbar

ek nazar aao ise dekh to len
haal aisa hai ki ab jo bhi ho achchha hoga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close