kaun aawara hawaon ka subuk-bar hujum aah ehsas ki zanjir garan tut gai aur sarmaya-e-anfas pareshan na raha mere sine mein ulajhne lagi fariyaad meri phir nigahon pe umand aaya hai tarik dhuan timtimana hai mere sath ye mayus charagh aaj milta nahin afsos patangon ka nishan mere sine mein ulajhne lagi fariyaad meri tut kar rah gai anfas ki zanjir-e-giran tod dalega ye kambakht makan ki diwar aur main dab ke isi dher mein rah jaunga ji ulajhta hai meri jaan pe ban jaegi thak gaya aaj shikari ki kaman tut gai laut aaya hun bahut dur se khali hathon aaj ummid ka din bit gaya sham hui main ne chaha bhi magar tum se mohabbat na hui ki chuke ab to khuda ke liye khamosh raho ek mauhum si khwahish thi falak chhune ki zang-alud mohabbat ko tujhe saunp diya sard hathon se meri jaan mere hont na si gar kabhi laut ke aa jae wahi sanwli raat khushk aankhon mein jhalak aae na be-sud nami zalzala uf ye dhamaka ye musalsal dastak be-aman raat kabhi khatm bhi hogi ki nahin uf ye maghmum fazaon ka alamnak sukut mere sine mein dabi jati hai aawaz meri tirgi uf ye dhundlaka mere nazdik na aa ye mere hath pe jalti hui kya chiz giri aaj is ashk-e-nadamat ka koi mol nahin aah ehsas ki zanjir-e-giran tut gai aur ye meri mohabbat bhi tujhe jo hai aziz kal ye mazi ke ghane bojh mein dab jaegi kaun aaya hai zara ek nazar dekh to lo kya khabar waqt dabe panw chala aaya ho zalzala uf ye dhamaka ye musalsal dastak khatkhatata hai koi der se darwaze ko uf ye maghmum fazaon ka alamnak sukut kaun aaya hai zara ek nazar dekh to lo tod dalega ye kambakht makan ki diwar aur main dab ke isi dher mein rah jaunga