ai mohabbat ajib chiz hai tu jaan-o-dil se siwa aziz hai tu teri betabiyan hain rashk-e-sukun ghairat-e-sad-khirad hai tera junun tujh se lazzat hai ashk-bari mein tujh se rahat hai aah-o-zari mein tere bais hai gham bhi ruh-faza tere dam se hai talkhiyon mein maza lazzat-e-soz-o-saz hai tujh se jaan-o-dil ka gudaz hai tujh se faiz se tere ashk-e-dida-e-tar ru-kash-e-sad-hazar lal-o-gohar dil ki nashw-o-numa tere dam se ruh ki hai jila tere dam se dard mein tere aisi lazzat hai jis se sharminda kaif-e-ishrat hai tujh se aalam mein shakebai tujh se ehsas mein hai ranai zahr ka jam tujh se aab-e-hayat tujh se rangin judai ke lamhat aag ko tu banati hai gulzar tujh se aasan hai aazmaish-e-dar tauq-o-zanjir tera zewar hain tere kante gulon se behtar hain hai kashish se teri jahan ka nizam tujh se painda nazm-e-subh-o-sham tu na zarron ko gar kare baham gir pade ye imarat-e-mohkam dars-e-isar tu sikhati hai nafs ki sar-kashi mitati hai tu ghubar-e-hawas ko dhoti hai dil ki aaludgi ko khoti hai aag mein teri jo bhi jalta hai ban ke paras hi wo nikalta hai