mere pas raaton ki tariki mein khilne wale phul hain aur be-khwabi dinon ki murjhai hui raushni hai aur binai mere pas laut jaane ko ek mazi hai aur yaad mere pas masrufiyat ki tamam tar ranga-rangi hai aur be-manawiyat aur in sab se pare khulne wali aankh main aasman ko odh kar chalta aur zamin ko bichhauna karta hun jahan main hun wahan abdiyat apni girhen kholti hai jangal jhumte hain baadal baraste hain mor nachte hain mere sine mein ek samundar ne panah le rakkhi hai main apni aag mein jalta apni barishon mein nahata hun meri aawaz mein bahut si aawazon ne ghar kar rakkha hai aur mera libas bahut si dhajjiyon ko jod kar tayyar kiya gaya hai meri aankhon mein ek girte hue shahr ka sara malba hai aur ek mustaqil intizar aur aansu aur in aansuon se phul khilte hain talab bante hain jin mein parinde nahate hain hanste aur khwab dekhte hain mere pas duniya ko sunane ke liye kuchh git hain aur batane ke liye kuchh baaten main rad kiye jaane ki lazzat se aashna hun aur pazirai ki dil-nashin muskurahat se bhara rahta hun mere pas ek aashiq ki waraftagi dar-guzar aur be-niyazi hai tumhaari is duniya mein mere pas kya kuchh nahin hai waqt aur tum par ikhtiyar ke siwa?