raat khamushi le kar jhulti hai pedon par dasht dasht viran hain raushni ke hangame tirgi barasti hai unche niche tilon par nind kyun nahin aati main udas rahta hun din ke garm mele mein main malul rahta hun sham ke jhamele mein main sharab pi kar bhi hoshiyar rahta hun jo bhi dil pe lag jae main wo zakhm sahta hun sochta hun duniya mein main bhi kitna tanha hun chandni ke pahlu mein dil nawaz kirnon ko odh kar main leta hun nind kyun nahin aati nind ek khushbu hai raat ki fazaon mein ku-ba-ku bhatakti hai mere ghar nahin aati mujh se dur rahti hai phir main khud se kahta hun nind kyun nahin aati