maut hayat ke shajar ka phal hai use bhi chakh kar dekho bahut kinare dekh chuke ab nadi se mil kar dekho khak pe apni tadbiron se naqsh banae kya kya bahut chale un raston par ab hawa mein chal kar dekho aur bhi dasht hain aur bhi dar hain is basti se milon bahar in jaise hi aur bhi ghar hain jin ke aangan jalte bujhte aise hi kuchh sham-o-sahar hain jin ki talash mein sab dar jhanke qarya qarya chadhte chand aur dubte suraj koh-o-daman sab khole shayad wo bhi wahin mile ab us ghar chal kar dekho maut hayat ke shajar ka phal hai use bhi kuchh kar dekho