umidon aarzuon khwabon ko mismar karta sochta hun main ye mere dast-o-bazu hain kisi ta'mir se pahle hui takhrib ke hamil kabhi the jo safar darpesh ye kaisa kahan par aa gaya hun main makanon ke badan ko ruh se mahrum karta hun ye aahen siskiyan chikhen khandar par baal bikhrae kahin diwangi ka raqs karti hain kahin par qahqahe bhi khankhanate hain ye takht-o-taj ka nashsha khirad ko chhin leta hai ki jab bazar-e-taqat mein manat-o-lat aur 'uzza badal kar mahiyat u’lu hubal ka wird karte hain to arzani lahu ki chhune lagti hai falak ko ye nashsha jonk ki surat re’aya ki sadaon ka lahu pita badan se lipta rahta hai namak lao namak laen kahan se ki namak napaid hai nayab hai is qaht-sali mein ijara-dari us ki takht-e-shahi ke liye mahfuz hai ab