mawara

rah chalte hue ek mod pe dur az ummid
aankh jhapki to mere samne wo shokh pari-paikar tha

mere pahlu se wo guzra magar is tarah ki chehre pe tha hath
ek mithi si khalish chhod gai dil mein ye jaan-soz ada

mawarai saya jalwa jo gurezan hai meri nazron se
meri banhon ki hararat mein kabhi shama ke manind pighal jata tha

qurb ki aanch se ye paikar-e-nur
ishq ki aatish-e-sayyal mein dhal jata tha

ek shola sa rag-o-pai mein machal jata tha
ye koi dasht-e-tasawwur ka hasin mod na tha

jahan ram-dida ghazalan-e-takhayyul ne use dekha ho
ye koi khwab-e-dil-awez na tha

mod ojhal hua nazron se to phir rah wahi log wahi
sirf wo chehra wo aankhen wo khat-o-khal na the

jin se badh kar koi nazron ka shanasa bhi nahin
hae wo lamha-e-paran wo dil-awez ada

yun mile jaise kabhi main ne unhen dekhna chaha bhi nahin
hai riwayat ki khudawand-e-khudayan-e-jahan

apni ruyat se musharraf yunhi farmata hai un bandon ko
jo us ki lagan mein shab o roz

hamd o tasbih o sana aur munajat o dua karte hain
sirf ek did ki hasrat mein jiya karte hain

aankhon mein kat diya karte hain raat
tab kisi lamhe mein wo zat-e-munazzah ki jo hai khatama-e-jumla-sifat

shola-e-husn-e-azal ruh-e-jahan jaan-e-hayat
subh ke nur ke manind nigahon ko munawwar karta

arsh se farsh pe karta hai nuzul
aur usi lamha wo bad-bakht wo martazi-e-tasbih-o-ruku-o-sajda

nashsha-e-tishnagi-e-did se chur
khanqahon ke kisi goshe mein so jate hain

jis tarah hasrat-e-didar mein ek umr guzari hi nahin
aarti jaise kabhi us ki nigahon ne utari hi nahin

aur wo rabb-e-jahan rahat-e-jaan
mawara-e-nigah-e-kaun-o-makan

munh chhupae hue hathon se guzar jata hai
hasrat-e-did dar-o-baam se sar phodti rah jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close