mutrib-e-khush-nawa zindagi ke hasin git gata raha us ki aawaz par anjuman jhum utthi us ne jab zakhm-e-dil ko zaban bakhsh di sunne walon ne be-sakhta aah ki ishq ke saz par jab hua zakhma-zan shor-e-tahsin mein khud us ki aawaz dab si gai mutrib-e-khush-nawa phir bhi tanha raha tishnagi-e-masham us ko baad-e-saba ki tarah gul-ba-gul le gai kasa-e-chashm ne partaw-e-gul bhi paya nahin dard us ka kisi mahram-e-dard ke waste dar-ba-dar shahr-dar-shahr phirta raha dad o tahsin ke hangama-e-zauq-kash mein use har taraf se malamat ke patthar mile mutrib-e-khush-nawa pattharon se patakta raha apna sar pattharon ko zaban to mili par takallum nahin pattharon ko khad-o-khal-e-insan mile daulat-e-dard-o-gham kab mili pattharon ko hasin suraten to milin dil nahin mil saka pattharon ko mile panw par e'timad-e-safar kaun de pattharon ko mile hath par azm-e-tesha-zani kaun de sang sunte hain lekin samajhte nahin dekhte hain magar farq karte nahin baat karte hain mahsus karte nahin tut sakte hain lekin pighalte nahin gard ban kar ye ud jaen sanchon mein dhalte nahin mutrib-e-khush-nawa pattharon se patakta raha apna sar mutrib-e-khush-nawa pattharon ko sunata raha dard-e-dil apna gham un ka gham sab ka gham pattharon ne suna aur chup-chap hanste rahe pattharon ki isi anjuman ka mughanni hun main aur bedard be-his sitamgar patthar sunenge kabhi un ka wo mutrib-e-khush-nawa shikwa-sanj-e-zaman apne naghmat ki aag mein jal gaya phir un hi ke manind patthar ka but ban gaya