mehman-e-KHosusi

ek din hazrat-e-hafiz ne ye dekha manzar
tauq-e-zarrin se muzayyan hai hama gardan-e-khar

aur chhakde mein juta reng raha hai tazi
zakhm hi zakhm hai kode ka zi-sar ta-ba-kamar

the jau marhum bade sada-dil o nek-mizaj
in-che shorist kaha aur gire chakra kar

wo to is gham ko liye khuld-e-barin mein pahunche
kai sadiyon ka zamane ne lagaya chakkar

aaj hum par bhi magar jabr-e-nazara hai wahi
wahi nairang-e-tamasha wahi nairang-e-nazar

wo chara-gah-e-siyasat ho ki maidan-e-adab
tauq-e-zarrin hai wahi aur wahi gardan-e-khar

ikhtiyaraat ki kursi pe khran-e-farba
mutamakkin nazar aate hain ba-sad karr-o-farr

ek kursi pe kisi tarah uchak kar pahunche
aur phir dhad se khule kashf-o-karamat ke dar

phir to 'buqraat' aur 'arastu'-e-zamana hain wo
ilm o hikmat mein nahin phir koi un ka ham-sar

phir to sahra-e-jahaalat bhi hai dariya-e-ulum
phir to is be-hunari mein bhi hain sau sau jauhar

khwah do harf bhi talim na hasil ki ho
tauq-e-zarrin ke karishme se bane danish-war

koi jalsa ho wo mehman-e-khosusi honge
koi mauqa ho dhadalle se wo denge lecture

wo zamin ke hon masail ke khala ki baaten
misl-e-miqraaz zaban chalti rahegi far-far

aalim o fazil o danish-war o ahl-e-hikmat
sab nazar aaenge qadmon pe jhukae hue sar

tauq-e-zarrin ka jo is ko na karishma kahiye
natiqa sar-ba-gireban ki ise kya kahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close