koi afi hai jo chandan ke ped ki khushbu se makhmur ho uthta hai us ki shakhon us ke patton se lipat kar na jaane kya dhundta rahta hai jaise chand ki tak mein har dam chakor rahta hai jaise chand ki ghat mein koi megh ka kala chor rahta hai aur phir ek pal aisa bhi aata hai jab wo chand ko apni banhon mein bhar leta hai duniya ki nigahon se bacha kar apni aaghosh mein dhanp leta hai safedi zulmat mein hal ho jati hai raushni tariki mein badal jati hai lekin ye tariki hi aslan takhliq ka mamba hai man ka afi bhi rahna chahta hai tere gird-o-pesh go teri zulf koi shankar ki jata bhi nahin phir kyun ye afi teri gardan tere naf-e-tan mein hamail hona chahta hai bar-bar tere sandal badan ki khushbu koi amrit koi somras bhi nahin, phir kyun ye dusht rahu ketu ki tarah pina chahta hai use bund bund chaal-bazi se tariki hi tera muqaddar thahra tera maskan bhi tarik hai ai zulqarnain zulmat hi to aab-e-hayat ka sar-chashma hai tera sukun tera qarar bhi tarik hai tariki hi asl manb-e-nur hai takhliq-e-kaenat ka shuur hai baadal jab chhatta hai chand aur bhi damakta hai megh-dut ke kale ghane halqe se nikal kar chand aur bhi dudhiya pur-nur ho jata hai sandal ke shajar se lipat ke sanp aur bhi masrur ho jata hai la-shuur se shuur ka safar khatm ho jata hai