sochta hun ki tere pyar ke badle mujh ko kya mila dard-o-gham-o-ranj-o-musibat ke siwa ek tadap ek kasak ek khalish hai paiham ek lamha bhi sukun ka na mere pas raha aur tu ajnabi aaghosh ki zinat ban kar ek chamakti hui firdaus mein ja baithi hai raqs karte hain nae khwab nigahon mein teri dil se mazi ke sabhi naqsh mita baithi hai meri mahbub mere dil ke siyah-khane mein jhilmilati hain teri yaad ki shamen ab bhi aahaten teri tasawwur mein basi hain ab tak tere jalwon se saji hain meri nazren ab bhi meri takhil ke khwabida darichon se abhi teri pael ke chhanakne ki sada aati hai mere ehsas pe lahraati hain zulfen teri jab kabhi jhum ke sawan ki ghata aati hai main ne har chand tujhe bhulna chaha lekin phir bhi aankhon mein tere khwab machal jate hain ab talak bhi meri fikron ke tarashida khutut jaane kyun tere khad-o-khal mein dhal jate hain ab ye socha hai ki phir dil mein samo lunga tujhe jazb kar lunga nigahon mein tere naqsh-e-hasin kyunki shayad meri takhliq mere fan ka suhag tujh se hai teri qasam tere siwa kuchh bhi nahin