kabhi aisa bhi hota hai main anjaane pate par ek khat likh kar sipurd-e-dak karti hun jo dil mein muamalat-e-dil hain sab sad-chaak karti hun main likh deti hun un ke nam bhi jin se shikayat hai bata deti hun kis kis se mujhe kitni mohabbat hai taaruf un ka bhi jin se bahut nuqsan pahuncha hai jinhen pane ko sahra tak dil-e-viran pahuncha hai raqam karti hun kis ka dil dukha hai waqai mujh se bayan karti hun kyun ruthi rahi hai zindagi mujh se ghalatiyan hain jo meri sab sar-e-auraq rakhti hun aur har safhe pe apne dastakhat misdaq rakhti hun magar aisa bhi hota hai koi dastak si hoti hai na jaane darmiyan-e-shab yahan par kaun aata hai meri dahliz par aa kar mera khat dal jata hai