koi taaruf hua nahin nahin koi aashnai bhi hoti hai tabhi hairat shairon pe tasawwuraat ki parchhaiyon ko ek wajud de pate hain kaise aur takhayyul ke parindon ko kore safhe par qaid kar pate hain kaise wo harf jo sirf harf hi the jud kar kis dor se pur-asar ashaar ban gae chand bikhre hue be-matlab lafz simat kar ek daere mein kaise nazm-o-ghazal ban gae ye hunar gir har insan mein hota zindagi kitni khush-gawar hoti hai aur is jahan ki har shai qabil-e-mohabbat hoti magar shairi hai us fan ka nam jise taqsim karne mein dikhai hai tang-dili khuda ne bhi