ai nizam-e-kohan ke farzando ai shab-e-tar ke jigar-bando ye shab-e-tar jawedan to nahin ye shab-e-tar jaane wali hai ta-ba-kai tirgi ke afsane subh-e-nau muskurane wali hai ai shab-e-tar ke jigar-gosho ai sahr-dushmano sitam-gosho subh ka aaftab chamkega tut jaega jahl ka jadu phail jaegi in dayaron mein ilm-o-danish ki raushni har-su ai shab-e-tar ke nigahbano sham-e-ahd-e-ziyan ke parwano shahr-e-zulmat ke sana-khwano shahr-e-zulmat ko sabaat nahin aur kuchh der subh par hans lo aur kuchh der koi baat nahin