main hawaon ke sang aaj baadalon ki jhanjharen pahan kar zamin par utri hun visal ke lamhon ka koi ant nahin mere chaaron taraf qatre ghungruon ki tarah chhan-chhan nach rahe hain aur main titliyon ki tarah rangon se khelti tumhaare gale se aa lagi hun intizar ke din aur raat mere hafize se nikal gae hain ki main ne kitni raaton ko takiyon par apni bebasi ko tahrir kiya tha aaj to sawan ka mausam bhi mujhe gawahi de raha hai ki main akeli nahin hun main khushbu-dar bojhal hawa ki tarah kabhi us darakht se kabhi khidki ke pardon se takra rahi hun diwana-war