wo dar khula mere gham-kade ka wo aa gae mere milne wale wo aa gai sham apni rahon mein farsh-e-afsurdagi bichhane wo aa gai raat chand taron ko apni aazurdagi sunane wo subh aai damakte nashtar se yaad ke zakhm ko manane wo dopahar aai, aastin mein chhupae shoalon ke taziyane ye aae sab mere milne wale ki jin se din raat wasta hai pe kaun kab aaya, kab gaya hai nigah o dil ko khabar kahan hai khayal su-e-watan rawan hai samundaron ki ayal thame hazar wahm-o-guman sambhaale kai tarah ke sawal thame my visitors