zindagi

zamin ghumti ja rahi hai
aasman badalta ja raha hai

rang-e-shafaq rang-e-hina rang-e-lahu
sab ek jaise ho gae hain

duniya ke ek kone se dusre kone tak
lahu ki barish ho rahi hai

ujadte ghar uchhalte sar
umadte aansu ubalte nale

be-gor-o-kafan lashen
suni mangen ujadti kokhen

kahin amal kahin radd-e-amal
ye hangama ai khuda kya hai

teri khubsurat kaenat ko
aakhir kis ki nazar lagi hai

ye aag kab bujhegi
ye raqs-e-junun kab tak rahega

mere malik
apni danish-wari ke zo'm mein bahakte achchhe logon ko

aur un se nabard-azma nek bandon ko
amn ki sidhi rah bata

un ko dil ke dagh dikha
jine ka andaz sikha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close