meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujh ko abhi tak dil mein tere ishq ki qindil raushan hai tere jalwon se bazm-e-zindagi jannat-ba-daman hai meri ruh ab bhi tanhai mein tujh ko yaad karti hai har ek tar-e-nafas mein aarzu bedar hai ab bhi har ek be-rang saat muntazir hai teri aamad ki nigahen bichh rahi hain rasta zar-kar hai ab bhi magar jaan-e-hazin sadme sahegi aakhirash kab tak teri be-mehriyon par jaan degi aakhirash kab tak teri aawaz mein soi hui shiriniyan aakhir mere dil ki fasurda khalwaton mein ja na paengi ye ashkon ki farawani se dhundlai hui aankhen teri ranaiyon ki tamkanat ko bhul jaengi pukarenge tujhe to lab koi lazzat na paenge gulu mein teri ulfat ke tarane sukh jaenge mabaada yaad-ha-e-ahd-e-mazi mahw ho jaen ye parina fasane mauj-ha-e-gham mein kho jaen mere dil ki tahon se teri surat dhul ke bah jae harim-e-ishq ki sham-e-darakhshan bujh ke rah jae mabaada ajnabi duniya ki zulmat gher le tujh ko meri jaan ab bhi apna husn wapas pher de mujh ko