mere nadim!

khayal o sher ki duniya mein jaan thi jin se
faza-e-fikr-o-amal arghawan thi jin se
wo jin ke nur se shadab the mah-o-anjum
junun-e-ishq ki himmat jawan thi jin se
wo aarzuen kahan so gai hain mere nadim?
wo na-subur nigahen, wo muntazir rahen
wo pas-e-zabt se dil mein dabi hui aahen
wo intizar ki raaten, tawil tira-o-tar
wo nim-khwab, shabistan wo makhmalin bahen
kahaniyan thin kahin kho gai hain mere nadim
machal raha hai rag-e-zindagi mein khun-e-bahaar
ulajh rahe hain purane ghamon se ruh ke tar
chalo ki chal ke charaghan karen dayar-e-habib
hain intizar mein agli mohabbaton ke mazar
mohabbaten jo fana ho gai hain mere nadim!
This is a great himmatwala shayari. True lovers of shahid anjum shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this qatil aankhen shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close