jab mere nam tere pyar ka khat aata hai chand lamhon ko gham-e-hijr bhi mit jata hai aisa lagta hai tera khat nahin tu aaya hai is tawassul se tasawwur mein tujhe paya hai ya ki ye khwab gham-e-hijr ne dikhlaya hai khat ne phir qissa-e-mazi mera dohraya hai jab ye aata hai teri yaad mein tadpata hai jab mere nam tere pyar ka khat aata hai khat ke alfaz se yaad aata hai tera lahja yaad aata hai rifaqat ka teri har lamha aaj bhi tujh se bichhadne ka hai dil ko sadma ab wo derina mohabbat hai adhura qissa tera khat ahd-e-guzashta ko bhi dohraata hai jab mere nam tere pyar ka khat aata hai aaya khat tera umidon ka farishta ban kar ya ki aaya meri qismat ka nawishta ban kar samne aaya hai jo ahd-e-guzishta ban kar tera khat mujh ko teri yaad mein rulwata hai jab mere nam tere pyar ka khat aata hai yaad hain ab bhi tere pyar ki baaten mujh ko yaad hain sari mohabbat ki wo ghaten mujh ko yaad hain wasl ki wo chandni raaten mujh ko yaad hain ishq mein khai hui maten mujh ko tera khat phir wahi ehsas jaga jata hai jab mere nam tere pyar ka khat aata hai