mujh ko shikwa hai mere bhai ki tum jate hue le gae sath meri umr-e-guzishta ki kitab is mein to meri bahut qimti taswiren thin is mein bachpan tha mera aur mera ahd-e-shabab is ke badle mujhe tum de gae jate jate apne gham ka ye damakta hua khun-rang gulab kya karun bhai ye eazaz mein kyun-kar pahnun mujh se le lo meri sab chaak qamison ka hisab aakhiri bar hai lo man lo ek ye bhi sawal aaj tak tum se main lauta nahin mayus-e-jawab aa ke le jao tum apna ye damakta hua phul mujh ko lauta do meri umr-e-guzishta ki kitab