aakhirash aa gai wo shab ai dil subh se intizar jis ka hai meri tanhai ki rafiq ye shab kaun kahta hai ki tarik hai shab mere har dard se paiwand bane aarzuon ki ek rida aisi jis ki zambil mein main ne apne dil jigar zehn bichha rakkhe hon apne mashuq ke is aanchal mein kitne arman chhupa rakkhe hain kitne ehsas saja rakkhe hain mere andar ka karb uthae ye shab kahkashan ban ke jagmagati hai ruh burraq ban si jati hai jis pe baitha main apni duniya ke aasmanon ki sair karta hun raat se subh ko utarta hun subh hoti hai raat aane ko raat ko intizar rahta hai meri tanhai ki rafiq ye shab meri jaanan amiq ye shab reshmi aswadi atiq ye shab kaun kahta hai ki tarik hai shab shab tera intizar rahta hai