ai mere sher ke naqqad tujhe hai ye gila ki nahin hai mere ehsas mein sarmasti o kaif ki nahin hai mere anfas mein bu-e-mai-e-jam chaman-e-dahr ki taqdir ki main hun wo ghata jis ne sikha hi nahin abr-e-bahaari ka khiram raat tarik hai aur main hun wo ek sham-e-hazin jis ke shoale mein nahin subh-e-darakhshan ka payam mere phulon mein sabaon na bahaaron ka guzar meri raaton mein sitaron na shararon ka guzar meri mahfil mein na mutrib na mughanni ka surud mere mai-khane mein mauj-e-mai-e-ummid haram main wo naqqash hun khoya hua bhatka naqqash jis ke har naqsh mein takhil ke har paikar mein muskuraati hai bade naz se ruh-e-alam ai mere dost! mere gham ke parakhne wale bas chale mera to la dun tujhe ruh-e-gul-e-tar bakhsh dun apni tadap, apna junun apni nazar phir tujhe apne shab o roz ka aalam dikhlaun har tabassum mein tujhe shaiba-e-gham dikhlaun khun-e-nahaq pe jo hota hai wo matam dikhlaun partaw-e-khur se jo be-jaan hai wo shabnam dikhlaun tujh ko dikhlaun ki be-rang hai kis darja sahar tira-o-tar si ye raat, bhayanak si faza dagmagate hue qadmon ko mere dost badha ek zara aur bulandi pe khuda-ra aa ja dekh is wusat-e-tarik ke sannate ko dewta maut ka khole hue jaise shahpar aur is wusat tarik ke sannate mein koi chhine liye jata hai sitaron ki damak koi be-nur kiye deta hai shoalon ki lapak koi kaliyon ko masalta hai to phir kya kije zakhm-e-gul tujh ko mahakna hai to hans hans ke mahak kaun sayyaad ki nazron se bhala bachta hai tair-e-gosha-nashin! khub chahak! khub chahak! jagti zard si aankhen na kahen lag jaen dard-e-iflas! zara aur chamak aur chamak! lal-o-gauhar ke khazane bhi kahin bharte hain araq-e-mehnat-e-majbur! tapak aur tapak! hai tere zoaf pe kuchh masti-e-sahba ka guman ai qadam aur bahak! aur bahak aur bahak! wo chamakti hui aai tere sar par shamshir mizha-e-tiflak-e-masum jhapak! jald jhapak! sina-e-khak mein be-kar hua jata hai jazb rukh-e-be-dad pe ai khun jhalak! aah jhalak! qatra qatra yunhi tapkata rahega koi zahr tu bhi ai sabr ke saghar yunhi tham tham ke chhalak! maut ka raqs bhi kiya chiz hai ai sham-e-hayat! han zara aur bhadak aur bhadak aur bhadak! har taraf kargah-e-dahr mein uthta hai dhuan har taraf maut ke aasar, tabahi ke nishan sard ajsam batate nahin manzil ka pata rahen viran hain, milte nahin rahi ke nishan zulmat-e-gham hai ki badhti hi chali jati hai han magar kis ne jalae hain ye hikmat ke diye aankhen chikhen ki nikal aaya wo ummid ka chand chaunka diwana ki daman-e-darida ko siye dauda mai-khwar ki ek jam-e-mai-e-tund piye khwahish-e-marg mere sine mein hone lagi zabh dubte dil ne dua mangi ki kuchh aur jiye yak-ba-yak aandhiyan uthne lagin har jaanib se aan ki aan main gahna gaya ummid ka chand aan ki aan mein gul ho gae hikmat ke diye na to diwane ka daman-e-darida hi sila na to mai-khwar ko ek qatra-e-sahba hi mila badliyan chhatne na pai thin ki phir chhane lagin bijliyan sar pe isi taur se lahrane lagin jis ke sine mein hon ai dost hazaron nasur jite-ji us ne bhala chain kabhi paya hai aah aai hai mere lab pe to kyunkar rokun kya karun ashk agar palkon pe dhal aaya hai lekin ai dost! mere dard ke be-his naqqad mere aansu meri aahen bhi to kuchh kahti hain meri afsurda nigahen bhi to kuchh kahti hain aur dagh-e-dil-e-nakaam dikhaun kaise dil-e-khun-gashta ka paigham sunaun kaise yun to kahne ko ye aansu hain bas ek qatra-e-ab jin mein surkhi dil-e-pur-khun ki na soz o tab-o-tab par koi narm sa jab rag suna dete hain yahi aansu hain ki ek aag laga dete hain chain kab deti hain afsurda nigahen meri aandhiyan sinon mein bhar deti hain aahen meri sabr ai dost! abhi sard kahan gham ki aag lab tak aae bhi to jal jaenge sab aish ke rag sabr ai dost ki ek aisa bhi din aaega khas ek had se guzar jaega pasti ka shuur sina-e-khak se phir utthega wo shor-e-nushur gumbad-e-tira-e-aflak bhi tharraega wo asiran-e-bala ka dar-e-zindan pe hujum kanpti tutti zanjiron pe raqs-e-be-rabt raqs-e-be-rabt mein phir rabt sa aa jaega ghair ke saghar-e-zarpash ka phir jo bhi ho hashr apna hi jam-e-sifalin koi chhalkaega gesu-e-shahid-e-giti mein piro kar moti koi diwana bahut dad-e-junun paega sabr ai dost ki ek aisa bhi din aaega anjuman badlegi sab saz badal jaenge gane walon ke bhi andaz badal jaenge