bachchon ne id par jab nare bahut lagae man bap ne bhi apne dukhde unhen sunae bachcho tumhaari idi kaise badhai jae tum khud hi kah rahe ho mahngai badh gai hai aam aadmi bechaara kya khae kya bachae bachcho tumhaari eidi kaise badhai jae patlun ki silai pachchanwe rupae di urfi ke boot sadhe-chhai-sau rupe mein aae bachcho tumhaari eidi kaise badhai jae be-mel suit ho to ban jae munh zaman ka sasti agar ho topi faizan bhinbhinae bachcho tumhaari eidi kaise badhai jae bachpan mein khelte the mitti ke hum khilaune bijli se chalne wale gudde tumhein dilae bachcho tumhaari eidi kaise badhai jae jaez nahin taqaza lalach buri bala hai nare laga ke tum ne ghar bhar pe zulm dhae bachcho tumhaari eidi kaise badhai jae tum ne to apne dil ki ammi se kah sunai abba ke dil se puchho bipta kise sunae bachcho tumhaari eidi kaise badhai jae ye baat bhi girah mein paison ke sath bandho sachchi khushi wahi hai jo muft hath aae bachcho tumhaari eidi kaise badhai jae achchha hamein siwayyan mil-jul ke tum khilao hum ne tumhaare paise is eid se badhae bachcho tumhaari eidi kaise badhai jae