surkh aankhen ghumate hue bhediye raat ka husn hain sarsaraate hue shakhchon mein chhupe manda panchhi musalle pe baithe hue rish-dar ahl-e-baatin pinghude mein kilkarte nur chehre ye bistar badalti hui ladkiyan zahr ugalte hue sanp diwar par jast karte hue sae ladti hui billiyan raat ka husn hain apne sar par ye sadiyon se phaila hua be-mah-o-najm gardun sar-e-sham rang apna tabdil karta hai to raat ka aaina jagta hai andheron bhare aaine mein sadaen hain, surat nahin samea shakl tartib deta hai sunte hue jagmagate hain aawaz ke khal-o-khad main ne sargoshiyon qahqahon manzilon aahaton aur aahon mein dekha hai husn ek pairae mein sar uthati hain ghurrahten, wasl-asar sansen ye palken jo aahista aahista dhalne lagi hain shafaq jo andhere mein ghulne lagi hai yahi raat ka husn hai raat aankhon mein hai