zindagi bahti rahi aab-e-rawan ki manind kabhi halki si kabhi khwab-e-giran ki manind waqt ki lahron pe masum sa chehra ubhra aur phir ho gaya gum wahm-o-guman ki manind dilruba chehre pe kyon chhaya qaza ka saya kyon bahaaron ka hua rang khizan ke manind ho gai kyon wo chahakti hui bulbul khamosh kyon gira phul jo gulshan mein tha jaan ki manind rind jhum uthte the mastan ada par jis ki ab yahan kaun hai us pir-e-mughan ki manind khak udti hai jahan qahqahe hote the buland naghma-e-bazm hai ab aah-o-fughan ki manind garmi-e-dil thi wahi us ki wahi zauq-e-talab dhalte sayon mein wo tha mard-e-jawan ki manind umr bhar yaad-e-chatar hum ko rulaegi 'habib' gham sataegi sada dard-e-nihan ki manind