hind ke banke sipahi azm ke koh-e-giran zindabaad ai fakhr-e-mashriq nazish-e-hindostan jaan de kar mol lete hain hayat-e-jawidan sarfaroshon ke liye to nam ki hain sakhtiyan jarhiyyat chin ki ab ho gai sab par ayan sari duniya kah uthi hai dushman-e-amn-o-aman chal ke ab laddakh-o-nefa se nikalo chin ko ghasb karna chahta hai sarhad-e-hindostan azm-o-istiqlal ke jauhar dikhana hain tumhein ahd-e-mazi ki zara dohra do phir se dastan sar-ba-kaf maidan mein aao kaamyabi ke liye baat walo aa gaya hai sar pe waqt-e-imtihan dushmanon ki pesh-qadmi aarzi hai dekhna jawedani kaamyabi paega hindostan chutkiyan lene lage hain phul ke pahlu mein khar ham-nashin dushman bane ye waqt ki nairangiyan qafile walon ko manzil ka pata mil jaega jabki ai 'takmil' nehru hain amir-e-karwan