chhote mote gol aur tondal ek miyan the mister dhondhal pet tha un ka jaise matka chalte the kha kha kar jhatka atak atak kar chalte the wo matak matak kar chalte the wo qad sach-much footbaal tha un ka kuppa ek ek gal tha un ka umr thi un ki aath baras ki aath nahin to nau ki das ki jab wo dawat mein kahin jate das das baqar-khaniyan khate firini das bis pyale be-ginti zarde ke niwale us par bhi jab pet na bharta bhuka marta kya nahin karta ghar aa kar wo shor machate man se mang ke khana khate mehnat se ghabraate the wo sare din bas khate the wo paidal chalna chhut gaya tha ghar se nikalna chhut gaya tha wo nikle aur sab chillae tondal aae tondal aae ek din apne ghar se nikle chal kar wo bazar mein pahunche bazari kutton ne ghera dhondhal chillae bahtera ban na pada jab kuchh to bhage kutte pichhe dhondal aage kutte un ko jaan gae the waqt ko bhi pahchan gae the jab wo ghar se bahar aate kutte roz unhen daudate roz ye un par aati aafat banti in ki roz yahi gat tond is warzish se kuchh patki matka thi ab rah gai matki kutton ne ye khub dawa di chhut gai un ke jism ki baadi achchhe khase ho gae dhondhal koi na kahta ab unhen tondal