zaban ko tarjuman-e-gham banaun kis tarah 'kaifi' main barg-e-gul se angare uthaun kis tarah 'kaifi' samajh mein kis ki aae raaz mere hichkichane ka andhere mein chala karta hai har nawak zamane ka nigah-e-mast ki allah-re masum takiden mujhe hai hukm saz-e-muflisi par gungunane ka main saz-e-muflisi par gungunaun kis tarah 'kaifi' hansi bhi meri nauha hai mera naghma bhi matam hai junun bhi mujh se barham hai khirad bhi mujh se barham hai sulagta shauq pighalte walwale jalti tamannaen zamin meri jahannam hai falak mera jahannam hai khayali jannaton mein baith jaun kis tarah 'kaifi' ye tauq-e-bandagi wo phul si gardan maaz-allah wo shahd-alud lab aur talkhi-e-shewan maaz-allah kamal-e-husn aur ye inkisar-e-ishq are tauba wo nazuk hath mera gosha-e-daman maaz-allah jhatak kar gosha-e-daman chhudaun kis tarah 'kaifi' nawed-e-subh sunta hi nahin rangin khwab us ka ghira jata hai zulmat-rez kirnon mein shabab us ka mujhe fursat nahin ranginiyon mein dub jaane ki use deta ye dhoka e'tibar-e-intikhab us ka haqiqat mast aaankhon ko dikhaun kis tarah 'kaifi' fana mein huzn-dida zindagi zam hoti jati hai thaki nabzon ki khasta zarb maddham hoti jati hai ye armanon ka mausam ye meri girti hui sehhat andheri raat aur lau shama ki kam hoti jati hai shabistan-e-wafa ko jagmagaun kis tarah 'kaifi' nirali jast karna hai nae raste pe chalna hai nae shoalon mein tapna hai nae sanche mein dhalna hai yahi do chaar sansen jo abhi mujh ko sambhaale hain inhin do chaar sanson mein zamane ko badalna hai inhen bhi sard giton mein ganwaun kis tarah 'kaifi' pareshan qafile ne ab nishan manzil ka paya hai dhundlakon ke udhar ek surkh tara jhilmilaya hai chale hain hanpte insan nai duniya basane ko bahut aise hain in mein jin ko khud main ne badhaya hai main khud hi raste se laut aaun kis tarah 'kaifi'