in ki bhi sunen un ki bhi sunen chhote jo hue sunte hi rahen kuchh bhi na kahen chhote jo hue hum par khuli hui to sabhi ki zaban hai ye mehrban hai kabhi wo mehrban hai aae kisi se khauf kisi ka adab karen apni to har tarah se musibat mein jaan hai dadhiyal mein phupi hain nanihaal mein khala hain ye un se bhi badh kar hain wo in se bhi aala hain ye chiz lao wo chiz lao bazar din mein sau bar jao kya raat hote kya munh andhere sham aur sawere pheron pe phere bimar jo ho jao sister ka kaha mano school mein jab tak ho teacher ka kaha mano ghar mein jo raho bhayya ghar bhar ka kaha mano sataya apne chhoton ko agar hum ne bade ho kar to phir wo bhi kahenge ghar ke aangan mein khade ho kar in ki bhi sunen un ki bhi sunen chhote jo hue