khali kamre mein mera rakht-e-safar rakkha hai chand arman hain poshida nihan-khane mein kirchiyan khwab ki rakkhi hain hifazat se kahin aur kuchh phul chhupa rakkhe hain anjaane mein dhundhti phirti rahi ruh kisi sathi ko dar-ba-dar thokaren khata raha pindar mera apni mitti se bhi utthi nahin sondhi khushbu ghair ke des mein lutta raha sansar mera ajnabi aankhon mein manus wafaon ka charagh ek ummid pe jalta raha ghup raaton mein jism mitti ki tarah ghulta raha pani mein rang be-rang hue jate the barsaton mein teri ummid pe khola hua dar rakkha hai khali kamre mein mera rakht-e-safar rakkha hai