aisi tanhai ki ghar dasht lage aisa sannata agar patta hile aankh darwaze ki aahat pe ja ke ruk jae kash aa jae koi phir mohabbat ka safir meri anjaan si chahat ka asir wo jo aa jae to aangan mein sitare aa jaen is makan mein bhi ki jis mein tanha rah raha hun main kai sadiyon se aane wale ke muqaddar ke tufail meri manzil mera ghar mere kinare aa jaen jab bhi is aalam-e-kam-hoshi mein dastak-e-dil se aankh khul jae ghar ki dahliz par thahar jae dur ek saya sa nazar aae dil ye phir bar bar samjhae han abhi bas abhi aata hoga meri jaanib bhi koi sirf mohabbat ka safir meri chahat ka asir jab bhi aahat si koi hoti hai aur phir khud ko 'adil' dastak-e-dil ke udhar tanha khada pata hun aur mera aks mere apne hi aaine mein thahre hue pani mein har subh mujh ko nazar aata hai rose ye samjhata hai meri dahliz pe koi bhi nahin bas mein hun ek anjaan si chahat ka safir ek gumnam mohabbat ka faqir