mohabbat jis mein laghzish bhi husul-e-kaamrani hai mohabbat jis ki har kawish surur-e-jawedani hai mohabbat jis mein gham bhi intiha-e-shadmani hai mohabbat jis ki tafsir-o-wazahat be-zabani hai mohabbat jis mein ruposhi bhi ek izhaar ho jae mohabbat jis mein khamoshi lab-e-guftar ho jae mohabbat jis ki aatish mein baqa pate hain parwane mohabbat jis ki aabaadi mein hain aabaad mastane mohabbat jis ki wusat ko nizam-e-hosh kya jaane mohabbat jis ko afsana bana rakkha hai duniya ne mohabbat ibtida kahte hain lafz-e-wah se jis ki mohabbat intiha sunte hain lafz-e-ah se jis ki mohabbat jis ki ranai gulon mein muskuraati hai mohabbat jo nazar ko jalwa-e-fitrat dikhati hai mohabbat jo kamal-e-husn ko yakta banati hai mohabbat jis mein gham-agin tamanna chain pati hai mohabbat jis pe qaem imbisat-e-ghair-fani hai mohabbat jis se wabasta nashat-e-jawedani hai mohabbat jis ko bahr-e-zindagi ka nakhuda kahiye mohabbat jis ko aalam mein fana-na-ashna kahiye mohabbat jis ko fanus-e-masarrat ki ziya kahiye mohabbat jis ko lafz-e-am mein lutf-e-wafa kahiye mohabbat jo bashar ke sath mitti hai na marti hai mohabbat ruh mein jo arsh-e-azam se utarti hai mohabbat jo kabhi gham hai kabhi aazad hasrat hai mohabbat jo kabhi sarmaya-e-kaif-e-masarrat hai mohabbat jis ki mushkil ek hayat-afroz lazzat hai mohabbat jis ka har andaz jadu hai karamat hai wo jazba hai jo aain-e-khirad se dur rahta hai ye ehsas-e-muqaddas qalb mein mastur rahta hai