sard hawa darwaze par dastak deti hai aur chap kahin dur dil ke andar ubharne lagti hai dhund mein dube shahr ki viran sadkon par yaadon ke hayule mere sath chahal-qadmi karte hain tut jaane wale rabton aur sukhe gilason mein koi dukh to mushtarak raha hoga jo palkon aur honton ke bich jhulta rahta hai diwar-gir ghadi mein thahre waqt sainkadon kitabon be-tahasha kapdon aur anginat juton mein bate wajud ko tartib dete sansen ukhadti hain to subh ka alarm be-tartib khwabon ke bich musalsal shor karne lagta hai raat-bhar jage huon ke liye baal bana kar nai subh ka aaghaz kitna mushkil hota hai is ka andaza khuda aur time-table incharge donon hi nahin laga pate aur dohrane ke liye hamein phir se pichhla din saunp dete hain