zamin se kyun na mujhe pyar ho ki mera wajud azal se ta-ba-abad khak se ibarat hai mera khayal mere khwab meri fikr-o-nazar jasad se ta-ba-lahad khak se ibarat hai wo musht-e-khak jise nur ne kiya sajda khirad ke nit nae sanchon mein dhal rahi hai aaj wo aag jis ne kiya inhiraf-e-azmat-e-khak khud apni zat ke dozakh mein jal rahi hai aaj main apni khak se kis tarah be-niyaz rahun meri zamin mujhe jannat dikhai deti hai wo guftugu jo sar-e-arsh mere haq mein hui khuda ke lahje mein ab bhi sunai deti hai main apni khak watan se jo pyar karta hun to is liye ki mujhe us se khas nisbat hai mere wajud ki azmat mera uruj-o-zawal azal se ta-ba-abad khak se ibarat hai