ye sehhat-bakhsh tadka ye sahar ki jalwa-samani ufuq sara bana jata hai daman-e-chaman jaise chhalakti raushni tarikiyon pe chhai jati hai udae naziyat ki lash par koi kafan jaise ubalti surkhiyon ki zad pe hain halqe siyahi ke padi ho aag mein bikhri ghulami ki rasan jaise shafaq ki chadaren rangin faza mein thartharaati hain udae lal jhanda ishtiraki anjuman jaise chali aati hai sharmai lajai hur-e-bedari bhare ghar mein qadam tham tham ke rakhti hai dulhan jaise faza gunji hui hai subh ke taza taranon se surud-e-fath par hain surkh faujen naghma-zan jaise hawa ki narm lahren gudgudati hain umangon ko jawan jazbaat se karta ho chuhlen bankpan jaise ye sada sada gardun pe tabassum-afrin suraj pai-dar-pai kaamyabi se ho stalin magan jaise sahar ke aaine mein dekhta hun husn-e-mustaqbil utar aai hai chashm-e-shauq mein 'kaifi' kiran jaise