garmi-e-khurshed ka ek naqsh-e-muztarib rauzan-e-diwar-e-shab khush-ada pur-kar hai nur se sarshaar hai sail-e-mauj-e-shahar mein wo utarne ko hai ab khair-maqdam ke liye jagte hain chashm-o-lab meri khatir shahr mein wo farozan jism-o-jaan wo darakhshan pairahan wo sunahra bankpan shoala-e-tanwir hai khun mein tahlil hai subh ki taswir hai us ka ru-e-shadman hashr ke hangam tak mere dil mein jawedan