aao hum aaj hi khul kar rolen jaane kab waqt mile aankh mein jitne bhare hain aansu aao hum aaj baha den un ko ghat mein umr bhi hai waqt bhi raftar bhi hai kaun jaane ki milen raste kab manzil se kaun jaane ki raha honge safar se kab tak kaun jaane yahan kis rut ki rida se utren phul jin mein teri mahkar na ho kaun ye jaan sake tere huruf mere honton se kahan tut giren shahr-e-ainda ke but-khane mein kya pata ek teri taswir na ho yun to ab kya hai jo khona hai mujhe ab to bas chain se sona hai mujhe