kisi bhule nam ka zaiqa kisi zard din ki giraft mein kisi khoe khwab ka waswasa kisi gahri shab ki sarisht mein kahin dhup chhanw ke darmiyan kisi ajnabi se dayar ke main jawar mein phirun kis tarah ye hawa chalegi to kab talak ye zamin rahegi to kab talak khule aanganon pe muhib raat jhuki rahegi to kab talak ye jo aahaton ka hiras hai use apne maile libas se main jhatak ke phenk dun kis tarah wo jo mawara-e-hawas hai use roz-o-shab ke hisab se karun de dimagh mein kis tarah koi aansuon ki zaban nahin koi ma-sawa-e-guman nahin ye jo dhundli aankhon mein dubta koi nam hai ye kahin nahin ye kahan nahin ye qayam-e-khwab dawam-e-khwab rahun is se daur mein kis tarah unhi sahilon pe tadapti ret mein so rahun mujhe izn-e-zillat-e-hast ho