nabud ke kaamil sannate mein zehn-e-afaqi shor khayalon ka apne sunta hai aamaq ki tariki se ubhar kar nur ka ek aazam zarra shaq ho ke adam ke sannate ko todta hai pithon pe hawa-e-shamsi marti hai durre duri harakat mein aate hain sakit kurre afkar ka warta bain-un-najm khalaon mein aawaz-e-muhib se ghumta hai suraj ke darakhshan baatin mein tariki ka pur-haul hayula kudta hai shab ki aqlim ke haikal par kala baadal apna bijli ka sah shanakha lahraata hai khud se mubariz-andesha sangin kohsar mein dhalta hai jis ki makhruti choti se patal ki gahrai ka khabt uchhalta hai fauladi pani maujon ki talwaron se patthar ki chatanen katta hai aashob wafur-e-qudrat ka bahr-e-zakhkhar ki tah mein palta hai talbida taulid pe sahil se sarzan makhluq kasir-ul-aza ka shewan tashkil mein hai aamil quwwat ka mansuba kohre se zahir hota hai ek kashti ka khaka mastul ke bal khamoshi se jo tufan wasil hota hai matlub, nihan-khane mein apne ruh-e-insani dahshat ki god mein baalida hoti hai