main bhi na puchhun tum bhi na puchho mere mazi ki peshani kitne buton ko puj chuki hai kitne sajdon ki tabani chaukhat chaukhat bant chuki hai mere mazi ke taqon mein kitni shamen pighal chuki hain kitne daman khak hue hain tum bhi na puchho main bhi na puchhun tum ne ye shadab jawani kaise aur kis tarah guzari in aankhon ke paimanon mein kitne aks utare tum ne kitne khwab sajae tum ne shahar ke kitne diwanon se qaul-o-qasam iqrar kiye hain kitne gareban chaak hue hain tum bhi na puchho main bhi na puchhun wo dekho wo kal hai hamara chhota sa ghar saja-sajaya hum tum baithe ek kamre mein tash ki bazi khel rahe hain