tarikh ba-har daur ulatti hai waraq aur mazhab mein hai lekin watniyat ka sabaq aur tu mard-e-musalman hai to ek baat zara sun aaghosh-e-tayaqqun se haqiqat ki sada sun ye sach hai musalman tabahi se ghira hai ek waswasa-e-la-mutanahi se ghira hai aalam ki had apne shikanje mein liye hai ek daur-e-masaib hai ki narghe mein liye hai aaram hai mafqud sukun pas nahin hai ab jaise ki jine ki koi aas nahin hai aafat nigal jaane ko munh khol rahe hain khatraat har ek samt baham bol rahe hain pazhmurdagi-o-khauf ka har ghar mein hai phera har dil mein hirasani-e-be-had ka hai dera be-rabt hai be-zabt hai be-rah-numa hai muslim hai ki be-azm hai be-hausla-pa hai amwaj-e-hawadis mein hai iman-parasti tufan ki zad par hai musalman ki kashti ye baat jahan mein hai purani bhi nai bhi har qaum ko milti hai saza us ke kiye ki tum aaj magar apnon se munh mod rahe ho ab sar pe musibat hai to ghar chhod rahe ho ye feal musalman ke shayan to nahin hai ye din nahin mazhab nahin iman to nahin hai bhaarat ke ba-har-haal wafadar bano tum namus ke izzat ke nigah-dar bano tum