sham hui hai suraj duba rang zamane ka hai badla sham suhani dekho aai kaisa suhana waqt hai lai dil ko lubha leta hai kaisa chain hamein deta hai kaisa sham ka achchha achchha manzar dil ko lubhane wala manzar ghar ko chala hai kheti wala mehnat se sab tan hai kala bail bhi chhoda hal bhi chhoda ghar ki jaanib munh ko moda hanka wo bailon ko apne chala wo ghar ko dhime dhime khet se apne ghar ko sidhaara lega ab aaram bechaara bailon ko khunton se bandha samne un ke bhusa dala baitha khud bachchon mein ja kar kaisa khush hai us ka ghar bhar idhar udhar se chidiyan ud kar aa baithin shakhon ke upar ab ye shab bhar lengi basera subh ko phir kheton ka phera jhil kinare aa kar baithi dam lene ko har murghabi tum bhi bachcho khelna chhodo apne apne ghar ko chal do sara din rahat se guzra 'jauhar' shukr karo khaliq ka