koi batae kahan shahr-e-arzu hoga ki jis maqam pe daman ke chaak silte hain nai hayat nai subh-o-sham milte hain udas udas hain raaten udas udas hain din kategi rah koi dastan sunate chalo hikayat-e-but-e-lala-o-shan sunate chalo kisi ki zud-pashiman nigahiyon ka tilism kisi kharab nigah-e-karam ka zikr karo wafa-e-wada-o-qaul-o-qasam ka zikr karo har ek aabla-pa aur sar-e-junun-pesha dilon ke kabe mein patthar sajae phirta hai ufuq ufuq pe nigahen jamae phirta hai udas ham-safaro su-e-dil bhi ek nazar uchhal raha hai badi der se lahu apna yahin kahin na mile shahr-e-arzu apna