phail rahi hai chaaron jaanib nae samay ki sundar khushbu aane wale kal ki qismat na main jaanun na jaane tu sabza rangat titli jugnu jaane kab se chamak rahe hain ped ki har ek shakh pe aansu aur is ped ki ek dali par koyal karti jae ku ku koyal karti jae ku ku dekhti jae yunhi har su waqt ko jate dekh rahi hai aur ye baithi soch rahi hai guzre sal ne kya bakhsha hai agle samay mein kya likkha hai pichhle sal ke bashinde to ab bhi sazaen kat rahe hain ek duje ke sog mein baithe apne lahu ko chat rahe hain dekhen agle sal mein kya ho ped ki shakhon par kya hoga shabnam tare jugnu aansu koyal baithi soch rahi hai waqt ko jate dekh rahi hai koyal karti jae ku ku