bis baras wo purani shirt nikli hai almari se main ne tah kar ke us ko almari ke sab se upar wale khane mein rakkha tha jaise meri budhi man quran ko chum ke rakhti thi teri yaadon ke parfum ke dhabbe pade hain ab tak aur main chhu kar dekhun to khushbu bhi ab tak gai nahin hai waqt is shirt ki aastin ka ghusa hua hai bas main aakhiri bar jo tera ticket liya tha jeb mein ab tak pada hua hai tu ne aakhiri bar batan tanka tha is mein yaad hai jaanan dant se dhaga tod ke kaise soi chubhoi thi sine mein us ki tisen aaj bhi mere dil mein rah rah kar uthti hain sab kuchh itna hi taza hai main ne shirt sambhaal ke rakkhi waqt ko main ne rok ke rakkha sab kuchh waise ka waisa hai lekin jaanan ye to bata tu shirt ke collar par jo teri kali zulf ka baal tika tha us par safedi kaise aai