naghma numa

meri tanhaiyo tum hi laga lo mujh ko sine se
ki main ghabra gaya hun is tarah ro ro ke jine se

ye aadhi raat ko phir chudiyan si kya khanakti hain
koi aata hai ya meri hi zanjiren chhanakti hain

ye baaten kis tarah puchhun mein sawan ke mahine se
meri tanhaiyo tum hi laga lo mujh ko sine se

mujhe pine do apne hi lahu ka jam pine do
na sine do kisi ko bhi mera daman na sine do

meri wahshat na badh jae kahin daman ke sine se
meri tanhaiyo tum hi laga lo mujh ko sine se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close