mahtab-badan gulab-surat sar-ta-ba-qadam jamal-e-fitrat honton par mogre ki kyari raftar lachakti gham-gusari chehre pe niagara barasta aawaz mein jal-tarang bajta naghmon se bhara hua piano hai samne us ke jo do zanu us ki makhrut ungliyon mein wo loch hai wo gudaz-o-kham hai chhuna nahin padta tar koi bas lams ki baat sochte hain rag rag tar-e-jaan ki manind bajne lagti hai sarkhushi mein khun naghmagiyon ke zer-o-bam ka baje ke badan mein daudta hai ji uthte hain jin ke sunne wale isa-nafasi ki dad dete