raat bhar husn-e-tasawwur se jila pate rahe khwab mere rukh-e-mahtab ko sharmate rahe jin bahishton se main guzra hun wo yaad aati gain shaikh kal khuld ki tarif jo farmate rahe jannat-o-dozakh-o-araf se main guzra hun khunki-e-husn ke shoale mujhe pighlate rahe wo tahayyur wo nigahon ka tajassus he he khwab se hosh ke aalam mein nazar aate rahe raqs karta raha har zarra rah-e-ghurbat mein kya bagule the mere gird jo mandlate rahe hath khali tha mera aur bhari thin aankhen jam-e-labrez mai-e-nab se takraate rahe ajnabi chehre jo manus nazar aate the apni khamoshi mein kya kuchh nahin farmate rahe tut ke girte rahe ban ke shahab-e-saqib sher-o-ilham ke moti kabhi barsate rahe kuchh azazil o sarafil bhi raste mein mile un ke changul se magar bach ke nikal aate rahe qissa-e-ghaib chhida ya sukhan-e-bud-o-adam shama ke gird patange the ki mandlate rahe aanch sahte rahe furqat ki bhi aashob ki bhi ji ko khwabon se khayalon se bhi bahlate rahe kabhi be-sakhta phulon ki taraf utthe qadam kabhi khushbu hi se hum ruh ko mahkate rahe dhal gaya din to ubhar aae umidon ke charagh na sahi chand sitare hi nazar aate rahe